एक समय एक नगर में एक साहूकार रहता था। उसका भरापूरा परिवार था। उसके 7 बेटे, एक बेटी और 7 बहुएं थीं। दिपावाली से कुछ दिन पहले उसकी बेटी अपनी भाभियों संग घर की लिपाई के लिए जंगल से साफ मिट्टी लेने गई। जंगल में मिट्टी निकालते वक्त खुरपी से एक स्याहू का बच्चा मर गया। इस घटना से दुखी होकर स्याहू की माता ने साहूकार की बेटी को कभी भी मां न बनने का श्राप दे दिया। उस श्राप के प्रभाव से साहूकार की बेटी का कोख बंध गया।
श्राप से साहूकार की बेटी दुखी हो गई। उसने भाभियों से कहा कि उनमें से कोई भी एक भाभी अपनी कोख बांध ले। अपनी ननद की बात सुनकर सबसे छोटी भाभी तैयार हो गई। उस श्राप के दुष्प्रभाव से उसकी संतान केवल सात दिन ही जिंदा रहती थी। जब भी वह कोई बच्चे को जन्म देती, वह सात दिन में ही मृत्यु को प्राप्त हो जाता था। वह परेशान होकर एक पंडित से मिली और उपाय पूछा।
पंडित की सलाह पर उसने सुरही गाय की सेवा करनी शुरु की। उसकी सेवा से प्रसन्न गाय उसे एक दिन स्याहू की माता के पास ले जाती है। रास्ते में गरुड़ पक्षी के बच्चे को सांप मारने वाली होता है, लेकिन साहूकार की छोटी बहू सांप को मारकर गरुड़ पक्षी के बच्चे को जीवनदान देती है। तब तक उस गरुड़ पक्षी की मां आ जाती है। वह पूरी घटना सुनने के बाद उससे प्रभावित होती है और उसे स्याहू की माता के पास ले जाती है।
स्याहू की माता जब साहूकार की छोटी बहू की परोपकार और सेवाभाव की बातें सुनती है तो प्रसन्न होती है। फिर उसे सात संतान की माता होने का आशीर्वाद देती है। आशीर्वाद के प्रभाव से साहूकार की छोटी बहू को सात बेटे होते हैं, जिससे उसकी सात बहुएं होती हैं। उसका परिवार बड़ा और भरापूरा होता है। वह सुखी जीवन व्यतीत करती है।
अहोई माता की पूजा करने बाद अहोई अष्टमी व्रत कथा अवश्य सुनना चाहिए।
Ek samay ek nagar mein ek sāhukār rahtā thā. Us kā bharāpūrā parivār thā. Uske 7 bete, ek betī aur 7 bahueṅ thīṅ. Dipāvalī se kuch din pehle uski betī apnī bhābhiyoṅ sang ghar kī lipāī ke liye jangl se sāf miṭṭī lene gayī. Jangl mein miṭṭī nikalte waqt khurapī se ek syāhū kā bachchā mar gayā. Is ghaṭnā se dukhi hokar syāhū kī mātā ne sāhukār kī betī ko kabhī bhī mān na banne kā śrāp de diyā. Us śrāp ke prabhāv se sāhukār kī betī kā kokh bandh gayā.
Śrāp se sāhukār kī betī dukhi ho gayī. Usne bhābhiyoṅ se kahā ki unmeṅ se koī bhābhī apnī kokh bāndh le. Apnī nand kī bāt sunakar sabse chhoṭī bhābhī tayār ho gayī. Us śrāp ke duṣprabhāv se us kī santān keval sāṭh din hī jindā rahtī thī. Jab bhī vah koī bachche ko janm detī, vah sāṭh din meṅ hī mrityu ko prāpt ho jātā thā. Vah pareshān hokar ek paṇḍit se milī aur upāy pūchhā.
Paṇḍit kī salāh par usne surahī gāy kī sevā karnī shuru kī. Us kī sevā se prasann gāy use ek din syāhū kī mātā ke pās le jātī hai. Rāste meṅ garuḍ pakṣī ke bachche ko sāmp mārne vālī hotī hai, lekin sāhukār kī chhoṭī bahū sāmp ko mārkar garuḍ pakṣī ke bachche ko jīvan-dān detī hai. Tab tak us garuḍ pakṣī kī māṃ ā jātī hai. Vah pūrī ghaṭnā sunne ke bād usse prabhāvit hotī hai aur use syāhū kī mātā ke pās le jātī hai.
Syāhū kī mātā jab sāhukār kī chhoṭī bahū kī paropkār aur sevābhāv kī bātēṅ suntī hai to prasann hotī hai. Phir use sāṭh santān kī mātā hone kā āśīrvād detī hai. Āśīrvād ke prabhāv se sāhukār kī chhoṭī bahū ko sāṭh bete hote hain, jisse us kī sāṭh bahueṅ hotī hain. Us kā parivār baṛā aur bharāpūrā hotā hai. Vah sukhī jīvan vyatīt kartī hai.